Wednesday, May 11, 2011

जालिम जमाना

जालिम है जमाना जज़्बात नहीं समझता.
दिल मे है क्या बात नहीं समझता

Monday, December 27, 2010

Bhula Diya Tune

Kabhi Jala Diya Mujhe Kabhi Bhujha Diya Mujhe
Ye Mera Dil Hai Ya Chiraag Ye Tumne Bataa Diya Mujhe

Mehndi Laga Ke Hathon Men Wafaon Ka Silaa Diya Mujhe
Kuch Duniya Ke Gam Ne Maara Kuch Tune Mitaa Diya Mujhe

Dhokha,Fareb,Zakhm,Aansu Tiri Chahat Ne Kya Diya Mujhe?
Tere Aane Se Pehle Yaron Ne Kabr Men Sulaa Diya Mujhe

Keh Ke Be-Gaana Hai Usne Mehfil Se Utthaa Diya Mujhe
Ae Maikash Tere Sheyron Ne Aaj Phir Rulaa Diya Mujhe

Mohabbat Mein Gum

Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujh Par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne

Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne

Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Shookh Hava
Mujh Ko Mehsoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne

Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch Aake Kaha Hai Tumne

Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne

Wo Nahi Aaye

Muddat Hui wo RuLane Nhi aaye,
JaLti Hui Ankhon ko Bujhane Nhi Aaye,

Kehte the sath jiyenge sath Marenge,
Hum Roothe the aaj Tak wo Manane Nhi aaye.

Hum Aur Akele

Mana Ki Aaj Hum AKELE Reh Gye,
Judai K Ansu ANKO Se Beh Gye.

Rote Hue Ko Ab Kaun CHUP Karaega,
Jo Chup Karate The Wo Hi RONE Ko Keh Gye

Saturday, December 18, 2010

Khuda bhi bekasoor nahi

Kon hai jo manzil se door nahi,
Kon hai jo zindagi se majboor nahi,

Gunaah to sabhi karte hai,
Humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahi.

Wednesday, October 20, 2010

Jara Soche

Hum Unhi Ko Rulate Hai.

Jo Humari Parwah Karte Hai.

Hum Unke Liye Aansu Bahate Hai.

Jo Kabhi Humari Parwah Nahi Karte.

Aur Hum Unki Parwah Karte Hai.

Jo Kabhi Humare liye Nahi Royenge.

Yahi jeewan Ka Such Hai.

Azeeb Baat Hai Per Such Yahi Hai.

Jab Bhi Aapko Yeh Yehasas Ho.

Aap Badal Jaye.

Kyuki Badalne K Liye Kabhi Dair Nahi Hoti

Friday, October 8, 2010

Tum Mujhko Bhula Dena

Dil me basai thi tasvir mita dena
Aankhon me basaya tha nazron me gira dena

Tum ko to wafa meri kuch raas na aai
Jata hoon tere dar se mujhko na Bula dena

Jab tum se koi pooche baaten meri wafaon ki
Tum meri wafaon par ilzam laga dena

Fir "Pwn" Ki tamanna kya jo Kisi gair ka ho jaye
Bas itni guzarish hai tum mujhko bhula dena

Woh Dur Ja KE Roye

Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Shikayeton Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabhi Muh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Kisi Ne Humari Aap-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye

Thursday, September 30, 2010

हिन्दू मुसलमान और हिंदुस्तान मिले

संस्कार संस्कृति शान मिले ,
ऐसे हिन्दू मुसलमान और हिंदुस्तान मिले ,
रहे हम मिल जुलके ऐसे ,
की मंदिर मे मिले अल्लाह और मज्जिद मे राम मिले
जय हिंद
Please Share All This Link For Peaces

Friday, August 13, 2010

Relationships Fail

Most Relationships fail not because of the absence of love..
Love is always present..
Its just that, One loves too much,
and The other loves too many,

To Koi Baat Nahi

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Jahaaz doob raha hai, to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch rooz main bhar jaate hain

Uske khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne Der se aaye hain, Aur chup chaap guzar jaate hain

Nurm aawaaz, bholi baatain, Masoom lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain

Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya? ke kidhar jaate hain

Shakal Ki Pehchaan Baki Hai

Unki Mohabbat ke abhi nishaan baki hai,
Naam lab par hai aur jaan baki hai .
Kya hua agar dekh kar muh pher lete hai,
Tasalli hai ki shakal ki pehchaan baki hai …

Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa

Jab Bhi Kabhi Papa Mujhe,
2 peg whiskey dete the main Jhool jaata tha Maa,
Meri Nazar Dhoondhe Tujhe,
Sochu Yahi Tu mujhko nazar na aa jaye Maa,
Daru main itna pita nahi,
Par Main Seham Jaata Hoon Maa,
Chehre Pe Aane Deta Nahin,
Lekin main ludak jaata Hoon Maa,
Tujhe Sab Hai Pata Hai Naa Maa ….

Tuesday, August 10, 2010

Mera Toota Hua Dil Dikha Dena

Zindgi se apna har dard chhupa lena,
Khushi na sahi gam gale laga lena,
Koi kahe mohabbat asan hai,
To use mera tuaa hua dil dikha dena…

Baarat Abi Baki Hai

Chale Jana Thodi Raat Abi Baki He
Gam Ki Gam Se Mulakat Abi Baki He
Rok Lo Thodi Der Tum Mera Janaza
Ghar Se Baarat Unki chalni Abi Baki He..

Haste Dekha Hai

hamare dil ke dard ko kisne dekha hai,
hamne khud ko khud he tadpte dekha hai,
tanhai me akele bathkar rote hai,
aur logo ne aksor hme haste dekha hai.

Manane Nahi Aaya

Badi der hui koi shakhs rulane nhi aaya,
Jalti hui aankhon ko bujhane nhi aaya,
Kehta tha k sath jiyenge marenge,
Ab ruth gaye hain to manane nahi aaya...

Thursday, August 5, 2010

To Dil To Aapka Hi Tootega.

Agar Aap Kisi Ko Sachche Dil Se Chahte Ho!
TO Use Kabhi Aajmana Mat!
Kyuki Agar Woh Gunehgar Bhi Hua!
To Dil To Aapka Hi Tootega..

Monday, August 2, 2010

कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती

लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती,
कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती ।

नन्हीं चींटी जब दाना लेकर चलती है,
चढ़ती दीवारों पर, सौ बार फिसलती है ।

मन का विश्वास रगों में साहस भरता है,
चढ़कर गिरना, गिरकर चढ़ना न अखरता है ।

आख़िर उसकी मेहनत बेकार नहीं होती,
कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती ।

डुबकियां सिंधु में गोताखोर लगाता है,
जा जा कर खाली हाथ लौटकर आता है ।

मिलते नहीं सहज ही मोती गहरे पानी में,
बढ़ता दुगना उत्साह इसी हैरानी में ।

मुट्ठी उसकी खाली हर बार नहीं होती,
कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती ।

असफलता एक चुनौती है, इसे स्वीकार करो,
क्या कमी रह गई, देखो और सुधार करो ।

जब तक न सफल हो, नींद चैन को त्यागो तुम,
संघर्ष का मैदान छोड़ कर मत भागो तुम ।

कुछ किये बिना ही जय जय कार नहीं होती,
कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती !
Composed By"निराला"