Wednesday, July 28, 2010

Koi Deewana Kahta Hai (Dr.kumar vishwas)

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai

K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai

Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta

Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi

Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
Zindagi main tumhari kami rah gayi

In honto par to hansi hi hansi hai
Par aankho main todi si nami rah gayi

Jin sapno ko kabhi dekha tha humne
Woh zindagi wahi par thami rah gayi

Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
Zindagi main tumhari kami rah gayi..

Ek Soch Aur Sachchai

Us bewafa ne mujhe pyar karke bhi chhod diya,
mujhe akela kar tanhaiyon se naata mera jod diya,

jab aai mout apni to usse raha na gaya,
aaya vo laas par meri or mujhe bina jalaye hi chhod diya

Ankho Mein Sailab

muhobat ke bhi kuch andaj hote hai,

jagti nkho ke bhi kuch khwab hote hai,


jaruri nahi ke gam me hi ansu nikle,

muskurati ankho me bhi sailab hote hai.

Dil Tutne Ka Khel

Jisne humko chaha, use hum chah na sake,
Jisko chaha usae hum pa na sake,

Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai,
Kisi ka toda aur apna bacha na sake,

Uski Dosti Me

Uski Dosti Me Ye Naubat Aa Gai,
Thandi Hawa Bhi Hume Jala Gai,
Hawa Kehti Hai Tum Yaha Taraste Hi Reh Gaye,
Mein Tumhare Dost Ko Chhoo Kar Bhi Aa Gai!!

Aakhir Kyu

Kyu Mere Liye Koi Intzar Karega,
Apni Zindgi Mere Liye Bekrar Karega.

Me Kya Hu Meri Hasti Hi Kya Hai,
Kya Dekhkar Humse Koi Pyar Karega !!

Tuesday, July 27, 2010

Aankhein Khuli Hoh Toh Chehra Aapka Hoh,
Aankhein Bandh Hoh Toh Sapnaa Aapka Hoh,

Humey Maut Ka Na Darr Na Khauff Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Hoh.

Kuch Nahi

Pyaar ne pucha zindagi kya hai?
humne kaha tere bin kuch nahi.
usne fir pucha dard kya hai?
humne kaha jab tu sang nahi.

pyaar ne pucha mohabbat kaha hai?
humne kaha mere dil me kahi.
usne fir pucha khuda kaha hai?
humne ne kaha tujhme kahi.

pyaar ne pucha humse ishq kyu hai?
humne kaha usko bhi pata nahi
usne fir pucha itni bechaini kyu hai?
humne kaha isme kasoor mera nahi.

pyaar ne pucha aetbaar karoge mera?
humne kaha tumse badkar koi nahi.
usne fir pucha saath doge mera?
humne kaha kyu nahi kyu nahi!!…

Tanhaiyon Ke Shahar Mein

Itne karib aye ke dur ho gaye,
Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye,

Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya,
tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya.

Gar Bewafa Hai

Tere pyar mein ye dil bekharaar hi na karoon
Tu hukm de toh tera intezaar hi na karoon

Tu bewafa hai toh iss khadar bewafai kar
Ke tere baad my kisi aur se pyar hi na karoon

Mela lage shamshaan mein

Khuda kare ek bhi haseena na rahe iss jahaan mein
Ek aaj mare ek kal mare

Mela lage shamshaan mein

Ravi vaar ka din ho kafan na mile bazaar mein
Baarish ka mousam ho aag bhi na lage shamshaan mein

chehre per dhul

Unki yaad me barso hum rote rahe,
bewafa wo nikali badnaam hum hote rahe,

Mohabbat me modhosi ka alam to dekhiye,
dhul chehre per thi aur hum aania dhote rahe.

Barbaad E Mohabbat

Kuch is tarah tha andaaz unaka alvida kahane ka.
Ki kuch suna bhi nahi aur kuch kaha bhi nahi.

Kuch is tarah barbaad unki mohabbat me huiye.
Kuch luta bhi nahi kuch bacha bhi nahi.

Rona Kiske Liye

Eay dil kisi ki yaad mai rona fizul hai,
Aansu bara anmol hai enhen khona fizul hai,

Ro to unke liye jo humpe nisar hai,
Unke liye kya rona jinke aasik hazaar hai..!

Majbur Waqt

Waqt nur ko benur kar deta hai,
Thode se jakhm ko nasur kar deta hai,

Kon chahta hai apno se dur rahna,
Par waqt sabko majbur kar deta hai..!

Koi Baat Nahi

Yahi Wafaa ka silaah hai to koi baat nahi,
Yeh dard tumne Pawan ko diya hai to koi baat nahi.

Yahi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,
Safeena doob raha hai to koi baat nahi.

Rakha tha aashiyana-e- dil main choopa ke tumko,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi.

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha,
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi.

Bewafaa Hum Nahi

Din bhar soch mein doobon raaton ko chain nahin
Kaise keh doon dil mein ab koi nahin

Door tu hai par mohabbat tere liye kam nahin
Duniya kya samjhe bewafaa tu hai hum nahin

Naam To Aaya

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aya,
khali hi sahi hathon me jaam to aaya

main hoon bewafa sabko bataya usne,
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya

Kasoor Nazron Ka

Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.

kyun roti hai kambakht yeh ankhe,
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai…

Jo CHaha Wo Na Mila

Teri Qurbat mili magar tera Sahara na Milaa
Qareeb puhanch ker bhi Sahil k Kinara na Mila

Dekhta Raha Ghour se mai hatheli apniii
Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila

Muskil Hai

Manzile bhi uski thi, rasta bhi uska tha
Ek main hi akela tha aur kafila bhi uska tha

Umra bhar sath chalne ki soch bhi uski thi
phir raste badlane ka faisla bhi uska tha

Mujhe bhool jane ki jid bhi uski thi
Phir mujhe pane ka housla bhi uska tha

Aaj akela hoon phir bhi dil sawal karta hai
ki log to uske the par kya khuda bhi uska tha