Wednesday, March 14, 2012

Muhabbat ka fasana

masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai..
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai..

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai
awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai,
kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai..

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko
ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai..

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai ,
phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai..

Saturday, March 3, 2012

Har baat ho gayi

kuch bhi bacha na kahne ko har baat ho gayi,
aao kahi sharab piye raat ho gayi.

nasha utha ke koi naya shahar dhoondhiye
ab to is shahar mai sabse mulakat ho gayi.

Kuch Nahi Milta

Surkh ret pe door talak jaane se kuch nahi milta,
Sheeshe ko tod ke aazmaane se kuch nahi milta,

Haqikat ki duniya se thoda toh wasta jarur rakhna,
Khwabon me raato ko bitane se kuch nahi milta,

Junoon hai toh isq ke daayre ke us paar jaake dekho,
Varna mohhabat ke kisson me yakeen jataane se kuch nahi milta...

Mushayare mein lateefe suna ke laut aaya

Mushayare mein lateefe suna ke laut aaya

ghazal ki qabar par aansoo baha ke laut aaya

Khabar mili thi ki sona nikal raha hai vahan

main jis makaam pe thokar laga ke laut aaya

Wo chahti thi ki kaansa khareed le mera

main usske taaz ki qeemat laga ke laut aaya

Badan tha usska jaise machliyaaN thirakati hoN

vo behata dariya tha main bhi naha ke laut aaya

Wo abhi uss rail mein baithi sisakti rahi hogi

jise apna haath hawa mein hila ke laut aaya..