Monday, December 27, 2010

Bhula Diya Tune

Kabhi Jala Diya Mujhe Kabhi Bhujha Diya Mujhe
Ye Mera Dil Hai Ya Chiraag Ye Tumne Bataa Diya Mujhe

Mehndi Laga Ke Hathon Men Wafaon Ka Silaa Diya Mujhe
Kuch Duniya Ke Gam Ne Maara Kuch Tune Mitaa Diya Mujhe

Dhokha,Fareb,Zakhm,Aansu Tiri Chahat Ne Kya Diya Mujhe?
Tere Aane Se Pehle Yaron Ne Kabr Men Sulaa Diya Mujhe

Keh Ke Be-Gaana Hai Usne Mehfil Se Utthaa Diya Mujhe
Ae Maikash Tere Sheyron Ne Aaj Phir Rulaa Diya Mujhe

Mohabbat Mein Gum

Hum Safar Gham Jo Mohabaat Mein Diya Hai Tumne
Yeh Bhi Mujh Par Bada Ehesaan Kiya Hai Tumne

Ek Muddat Se Isi Din Ki Thi Hasarat Dil Mein
Aaj Mein Khush Hun Ke Deewana Kaha Hai Tumne

Jab Bhi Takarai Mere Jism Se Yeh Shookh Hava
Mujh Ko Mehsoos Hua Ke Chuaa Hai Tumne

Kya Mere Dil Ke Dhadakane Ki Hi Awaaz Hai Yeh
Ya Ke Phir Kaan Mein Kuch Aake Kaha Hai Tumne

Hitchkiyan Bhi Kabhi Kambhakt Nahin Aati Hai
Jo Yeh Sochon Ke Mujhe Yaad Kiya Hai Tumne

Wo Nahi Aaye

Muddat Hui wo RuLane Nhi aaye,
JaLti Hui Ankhon ko Bujhane Nhi Aaye,

Kehte the sath jiyenge sath Marenge,
Hum Roothe the aaj Tak wo Manane Nhi aaye.

Hum Aur Akele

Mana Ki Aaj Hum AKELE Reh Gye,
Judai K Ansu ANKO Se Beh Gye.

Rote Hue Ko Ab Kaun CHUP Karaega,
Jo Chup Karate The Wo Hi RONE Ko Keh Gye

Saturday, December 18, 2010

Khuda bhi bekasoor nahi

Kon hai jo manzil se door nahi,
Kon hai jo zindagi se majboor nahi,

Gunaah to sabhi karte hai,
Humari nazar mein to khuda bhi bekasoor nahi.